Lalkaar
Hai liye hathiyaar dushman
Taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyaar hain
Seena liye apna idhar
Khoon se khelenge holi gar
Watan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab
Hamaare dil mein hai
Haath jin mein ho junoon
Katt te nahi talvaar se
Sar jo uth jaate hain woh
Jhukte nahi lalkaar se
Haath jin mein ho junoon
Katt te nahi talvaar se
Sar jo uth jaate hain woh
Jhukte nahi lalkaar se
Aur bhadkega jo shola-sa
Humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab
Hamaare dil mein hai
Hum to ghar se nikle hi the
Baandhkar sar pe qafan
Chaahatein liin bhar liye lo
Bhar chale hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan
Maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab
Hamaare dil mein hai
Dil mein tuufaanon ki toli
Aur nason mein inquilaab
Hosh dushman ke udaa
Denge humein roko na aa
Duur reh paaye jo humse
Dam kahaan manzil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab
Hamaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab
Hamaare dil mein hai