Sapano Se Pucho
Sapano Se Pucho -Niraj Chag
Pal do pal ki hai ye zindagaani
Beetay lamahon ke jaise beetay jaaye
Silsila ye kaisa poocho to jo roke bhi na ruk paaye
To sapno se poocho kya hai haqeeqat
Poocho yaadon se kabhi kya hai zuroorat
Gham se poocho to kabhi hoti hai kya ik khushi
Rabb se poocho kya hai zindagi
Sapno se poocho kya hai haqeeqat
Poocho yaadon se kabhi kya hai zuroorat
Gham se poocho to kabhi hoti hai kya ik khushi
Rabb se poocho kya hai zindagi
Hoti kya hai chaahat kya mohobbat hai
Ban jaate hain rishtey kaise sabhi
Hai badaulat kiski poocho to hoti hai kya zindagi
Vaqt ki dori se bandhi hai har ik saans
Sanson ke sangam se hota hai ehsaas
Zindagi aakhir hai kya hai jeene ka raaz
Kabhi poocho to zaraa
To sapno se poocho kya hai haqeeqat
Poocho yaadon se kabhi kya hai zuroorat
Gham se poocho to kabhi hoti hai kya ik khushi
Rabb se poocho kya hai zindagi
Kal rahe ya na kisko pataa
Aane vaali ghari ki kisko khabar
Vaqt paabandhiyon ka naheen mohtaaz
Jaane kab toot jaye ye saanson ki dore
Bujhti aankhon se poocho kya hai ujala
Larkharaate kadamon se poocho kya hai sahaara
Toote dil se to poocho marham hoti hai kya cheez
Mann se poocho kya hota hai meet
Sapno se poocho kya hai haqeeqat
Poocho yaadon se kabhi kya hai zuroorat
Gham se poocho to kabhi hoti hai kya ik khushi
Rabb se poocho kya hai zindagi