O Jiji
O Jiji -Shreya Ghoshal /Pamela Jain
O jiji
O jiji kya kehke unko bulaoge dulha banke jo aayenge
O jiji bolo to kya kehke unko bulaoge dulha banke jo aayenge
A ji o ji hum na kahenge hum to isharo me baate karenge
A ji o ji hum na kahenge hum to isharo me baate karenge
Sab jaise apne unko bulate hai waise hum na bulayenge
O chhoti
Shadi hai dilli ka laddu laddu ye har man me phute
Iska lage har dana bhala
Jo khaye pachataye jo na khaye wo pachhataye
To khakar hi pachhatana bhala
Ye laddu tujhko ek din khilayenge tere sajan jab aayenge
O chhoti
Mithi hai brig ki mithai laddu pedha balushahi
Par sabse mithi ho tum jiji
Kanchan ki jaisi khari hai ras ye ras ki bhari hai
Ganne ki ganderi hai tu chhoti
Brig ki ye mithi mithai sada ke liye jija bandh le jayenge o jiji
Gane ko tum ga rahi ho ji apna behala rahi ho
Najar to hai raho me lagi
Chhoti tu chhoti khoti badi hai
Behna ko bas chhedti hai
Mai to yaha kamo me lagi
Aane do jiji tumhare ji ki dasha jijako batayenge o jiji